Kanz e Aza

Ghazi ki Yaad Mein

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Agha Sarosh. Lyrics in Roman Urdu.

saqqa e sakina abbas e alamdaar

haye abbas haye abbas haye abbas


ghazi ki yaad mein yun royi sakina

patthar aankhein bhar aaiyan


pyason ka lahoo to arzhan tha

pani ki wohi mehengaiyan


ashoor ko pyasi bhatiji se

waada jo tera poora na hua

pani pe larazti hai ab tak

abbas teri parchaiyan

patthar aankhein...


farzande ali zahra ke pisar

jald aao taraayi se uth kar

phir khaana e zahra jalta hai

laut aayi hai phir balwaiyan

patthar aankhein...


jis din se gaye farzande nabi

sooni hai padi ek ek gali

hum jholiyan ban gayi sughra ki

beeti yaadein tanhaiyan

patthar aankhein...


ay daaman e saahil tu inko

abbas ke shaane mat kehna

ye zabte wigha mein hai ghazi ki

do tooti hui angdaiyan

patthar aankhein...


maidan mein aun o mohamed ne

darya ki ye taraf rukh bhi na kiya

dekhi na gayi yun pyason ki

pani se ye be-parwahiyan

patthar aankhein...


hai ek rasan mein baara galay

saaye ke sataye dhoop jale

be parda phirayi jaati hai

abbas teri maajaiyan

patthar aankhein...


nau ras ghunche pamaal huwe

gul phool samar behaal huwe

zehra o ali ke aangan mein

ulti chal gayi purwaiyan

patthar aankhein...


tujhe shadman rota hai ab tak

ay seena e zakhmi akbar ke

dekhi hai sarosh ne ashkon mein

tere zakhm ki si gehraiyan

patthar aankhein...