qaidi bani maqtal may khadi hai
qaidi chudane waali zainab
kaise bachaye khud ko sitam se
deen bachane waali zainab
deen e khuda marhoon hai tera
khaaliq khud mamnoon hai tera
apni rida se deen e khuda ka
parda banane waali zainab
qaidi bani maqtal may...
khaak pe baithi soch rahi hai
kaise apne baal chupaye
bikhre huwe baalon se apna
chehra chupane waali zainab
qaidi bani maqtal may...
aankh may aansu paon may chaale
baalon may hai khaak safar ki
ranj o alam sehne aayi hai
dard batane waali zainab
qaidi bani maqtal may...
aaj usay sab koofe waale
baaghi ki hamsheer kahenge
kal koofe may thi shehzadi
jo kehlane waali zainab
qaidi bani maqtal may...
karbobala ka sog manaati
shaam ke bazaron may aayi
apne watan may be-aason ki
aas bandhane waali zainab
qaidi bani maqtal may...
ek sahare baat rahi thi
ek sahara dhoond rahi hai
dasht may aane waali zainab
dasht se jaane waali zainab
qaidi bani maqtal may...
noor ali ab is se bad kar
aur qayamat kya guzregi
bazaron may be-parda hai
parda sikhane waali zainab
qaidi bani maqtal may...