giri hai khaak pe zainab sambhaal ay fizza
ali ki beti ka sadqa nikaal ay fizza
kaha ye fizza se shabbir ne dam e ruqsat
meri sakina ka rakhna khayaal ay fizza
giri hai khaak pe...
rida na denge layeen maang mat rida inse
bas ab to khaak hi baalon pe daal ay fizza
giri hai khaak pe...
abhi to shaam ke raste hai sabr kar ke guzar
abhi to hone hai mushkil sawaal ay fizza
giri hai khaak pe...
har ek sawaal ke badle ye sang maarenge
na kar tu reham ka inse sawaal ay fizza
giri hai khaak pe...
bacha layeeno ki nazron se binte zehra ko
banale khud ko tu zainab ki dhaal ay fizza
giri hai khaak pe...
karega kis tarha ye guftugu sharabi se
batool zaadi ki mushkil ye taal ay fizza
giri hai khaak pe...
bula habash ke ghulamon ko tu madad ke liye
hai qaid aaj payambar ki aal ay fizza
giri hai khaak pe...
khabar hai abid e muztar ko ya hai tujhko khabar
jo hai butool ki beti ka haal ay fizza
giri hai khaak pe...
na kyun jhukaye tere dar pe sar ko noor ali
ke tujhko maa kahe zehra ke laal ay fizza
giri hai khaak pe...