sajjad ye farmate thay ro kar sar e darbar
mai tanha nahi hoon meri phupiyan bhi yahan hai
haathon mein rasan bhi hai sabhi girya kuna hai
hai aale nabi ranj o musibat mein giraftaar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...
nanhi si sakina bhi rasan basta hui hai
gham itne huwe us pa bahot khasta hui hai
wo meri behen bhi to hai baba ki azadaar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...
mukhtar bahot pyasi hai ghazi ki bhatiji
ek pal ke liye chain se so bhi nahi paati
har gaam sataate hai sakina ko sitamgaar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...
mai kaise bataun khile hassaas ke baazu
darya pa qalam hogaye abbas ke baazu
hum tanha nahi saath hai abbas e alamdar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...
zaalim ne mere chote se asghar ko bhi maara
nanhi si lehad khod ke sar uska utaara
cheh maah ke bhai pa hui zulm ki yalghaar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...
mukhtar kahun kaise bahot zulm huwe hai
baade shahe waala sabhi qaime bhi jale hai
hum rote thay khush hote thay zaalim ke tarafdaar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...
irfan o sharar kaise bayan ho wo musibat
darbar mein sajjad ke nauhe se thi riqqat
rote thay sabhi apne paraye sar e darbar
tum apni nigahon ko uthana nahi mukhtar
sajjad ye farmate thay...