sajjad ye kehte thay jigar dekho hamara
kis haal mein hai jaari safar dekho hamara
islam bachane ke liye aaye thay ghar se
veeran madine mein hai ghar dekho hamara
sajjad ye kehte...
ham raahe sadaqat se hatay hai na hatenge
maara gaya har noor e nazar dekho hamara
sajjad ye kehte...
kaanto pa pisar chalta hai naize pa padar hai
tableegh mein andaaz e safar dekho hamara
sajjad ye kehte...
qurban kiya akbar ko bhi baba ne ye keh kar
humshakle payambar hai pisar dekho hamara
sajjad ye kehte...
hum aale payambar hai tamasha na banao
afsos karo haal agar dekho hamara
sajjad ye kehte...
sar jiska sare naiza pe karta hai tilawat
khaaliq ki qasam wo hai padar dekho hamara
sajjad ye kehte...
logon sare zainab se nigahon ko hatalo
aati thi sada shaah ki sar dekho hamara
sajjad ye kehte...
hum qaid e jafa mein hai to dil karbobala mein
hai ran mein har ek laqte jigar dekho hamara
sajjad ye kehte...
ye nauha nahi sibte payambar ki ata hai
anwar nahi kehta ke hunar dekho hamara
sajjad ye kehte...