Kanz e Aza

Hyder ka Janaza

A noha for Imam Ali (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

wasi e mustafa ka kul ke maula ka janaza hai

amaama jiska khoon mein bhar gaya uska janaza hai

ye hyder ka janaza hai


janaze se lipat kar betiyan behaal hoti hai

tadap kar zainab o kulsoom ka rona batata hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


qayamat dha rahi hai aaj tak uneeswi ramzan

jo ab har saal hi ekeeswi ramzan ko uth'ta hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


uthaate hai na jaane kis tarha baba ki mayyat ko

ghamon ki raah par ye sarwar o shabbar ka nauha hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


ali ka khoone na-haq keh raha hai daastan gham ki

jo barpa hai zamane bhar mein wo matam ye kehta hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


yehi ghul hai yateemon ka sahara uth gaya haye

ye dooba gham mein har majboor ka bekas ka chehra hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


julooson mein uthaate hai jo hum taboot hyder ka

hamari aankh se phir ashke gham ye kehke behta hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


hai turbat fatema zahra ki haye sog mein doobi

zameen par arsh par nauha ye saare ambiya ka hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…


kise maloom hai kya dukh mila hai soghwaron ko

kisi ko kya khabar kis dil se ye izhaar likhta hai

ye hyder ka janaza hai

wasi e mustafa ka…