dunya mein jo bedaari ki awaaz hai har jaa
hai binte payambar tere shabbir ka sadqa
ay fatema zahra tere shabbir ke jaisa
tha koi nahi hai bhi nahi aur na hoga
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
paigham e hussaini phailaya
ye karbobala ne samjhaya
jab zulmat har soo chaane lage
tum khoon se charaagh jala dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
matam ka safar jo jaari hai
dar'asal yehi bedaari hai
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
tum log sada e matam se
soye zehno ko jaga dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
sar jab bhi uthaye kufr kahin
haq baat batana tum bhi wahin
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
aur nakhwate baatil ko aage
badh kar matti mein mila dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
hai ye bhi farayez mein shaamil
aur hai ye ibadat bhi kaamil
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
tukdon mein bati is millat mein
wehdat ke phool khila dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
ghazi ki inayat mil jaaye
jab izne ziyarat mil jaaye
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
tum karbobala ke raste par
apne qadmon ko badha dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
mehdi ke ghulamon yaad rakho
jeene ka yehi ek maqsad ho
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
is rooye zameen se baatil ka
har naam o nishaan mita dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
ay ahle aza ye yaad rahe
ghazi ke alam ke saaye talay
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
atfaal ko apne le jaa kar
paigham wafa ka suna dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
jab shish maaha yaad aa jaaye
aur pyaas bhi uski tadpaye
tum apne gharon mein sharbat par
asghar ki nazr dila dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
zainab ko rulaata hai ab bhi
gham aur badhata hai ab bhi
wo naiza kha kar akbar ka
ran se baba ko sada dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
hum ko hai sikhaya matam bhi
aur ishq e ali ki daulat bhi
labbaik ya hussain labbaik ya hussain
izhaar aur shadman laazim hai
apni maaon ko dua dena
chaahe ye jaan chali jaaye
ghar baar bhi apna luta dena
shabbir ne hum ko sikhaya hai
haq baat pe sar bhi kata dena
labbaik ya hussain labbaik ya hussain