hal min nasirin yan suruna
jaane kis haal may shabbir sada dete hai
ran may soye huwe laashe bhi utha dete hai
hausle se wo har ek laash uthaate hi rahe
jaane akbar pe kyun wo khud ko gira dete hai
jaane kis haal may...
koi naiza koi talwaar koi teeron se
is tarha ajre risaalat ka sila dete hai
jaane kis haal may...
poocha farwa ne kahan hai mera qasim maula
khol ke maula usay ghatri dikha dete hai
jaane kis haal may...
kahin pamaal na hojaye asghar e masoom
tapti reti pe wo moti ko chupa dete hai
jaane kis haal may...
de ke sadqa ali akbar ka hussain ibne ali
dard saare salamat ko rika dete hai
jaane kis haal may...