shabbir se mohabbat hai mujhko
ishq e shabbir meri daulat hai
mujhko shabbir se…
saara aalam bana hua hai yazeed
ek shabbir ki zaroorat hai
mujhko shabbir se…
abu talib pe kufr ka ilzaam
ye faqad jazba e raqabat hai
mujhko shabbir se…
deen e haq may mulookiyat ka shumool
nasl e sufiyan ki shararat hai
mujhko shabbir se…
kar gayi phir habeeb e sheh ko jawan
kitni maujiz numa mohabbat hai
mujhko shabbir se…
isko naiza na maar ibne anas
teri zad par nabi ki surat hai
mujhko shabbir se…
kaise uthegi laash akbar ki
baap boodha jawan ki mayyat hai
mujhko shabbir se…
rakhli tooti kamar pe laashe jawan
shahe deen aap hi himmat hai
mujhko shabbir se…
ran se aati hai laash akbar ki
qaima e shah may qayamat hai
mujhko shabbir se…
aa rahi hai chacha chacha ki sada
qaid khane may kis ki turbat hai
mujhko shabbir se…