Kanz e Aza

Shabbir Tera Matam

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

saydaniya karti hai shabbir tera matam

ay waaris e quranam ay shaahe shaheedanam


be sar hai sabhi laashe pamaali ki zad par hai

jalti hui reti par sadaat khule sar hai

aur nauha kuna aalam

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


naizon ka ghana jangal aur raat ka sannata

pehre pe nabi zaadi karti hai yehi nauha

lachaar huwe ab hum

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


beton ko nahi roti ghamkhwar teri khwahar

ghazi ko bulaati hai ek haath rakhe dil par

bechain o dilafgaaram

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


ab lootne aate hai sadaat ko ye zaalim

kis darja rulaate hai sadaat ko ye zaalim

ab jaaye kahan pur gham

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


haq teri mohabbat ka kulsoom ada karti

aulaad agar hoti to tujhpe fida karti

karti hai bapa payham

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


baba hai kahan mere hai bain sakina ke

mar jaungi ro ro ke bin shaah e madina ke

kya is ko bataye hum

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


be parda bahan teri bazaar mein jayegi

amma ki tarha zainab darbar mein jayegi

kya is se bada hai gham

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


hamsheer rasan basta jab qaid mein jayegi

zinda mein tera matam ek roz karayegi

be monis o be yaaram

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


jee bhar ke kiya matam abbas e dilawar ka

qasim ali asghar ka hamshakle payambar ka

ta hashr karenge hum

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...


ye mazhar o mesum ki din raat azadari

manzoor kare zehra ye nauhon ki tayyari

ek pal bhi nahi ho kam

ay shaahe shaheedanam

shabbir tera matam

saydaniya karti hai...