Kanz e Aza

Shabbir Pe Ab Tanhai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

kya ghurbat hai ab koi nahi

shabbir pe ab tanhai hai

farzand e nabi par ummat ne

afsos qayamat dhaayi hai


mazloom pukare ab kis ko

akbar bhi nahi abbas nahi

ye doshe nabi ka raakib hai

ummat ko magar ehsas nahi

pardesi ek musafir ko

taqdeer kahan par laayi hai

kya ghurbat hai...


maqtal hi nahi saara aalam

hal min ki sada se goonj utha

na fauj rahi salaar raha

shabbir ka wo lashkar na raha

seh roz ke pyase gardan mein

ye kaisi qayamat aayi hai

kya ghurbat hai...


le aaye hai sarwar mashk o alam

pyase pe huwa har zulm o sitam

is aalame ghurbat mein lekin

shabbir ko tha is baat ka gham

dam todte bete ne ran mein

seene pe barchi khaayi hai

kya ghurbat hai...


ek hashr bapa hai maqtal mein

jibreel ke lab par hai nauha

aulad e nabi ke qaimon se

aati hai sada e wavaila

shabbir ne haye ghurbat mein

akbar ki laash uthayi hai

kya ghurbat hai...


ye khoon mein tar nanha sa gala

nana ko dikhana mehshar mein

ab khaak pe sona hai tujhko

ye soch ke ran mein sarwar ne

hamshakle nabi ke pehlu mein

baysheer ki qabr banayi hai

kya ghurbat hai...


farzande payambar par ran mein

nau laak ka lashkar toot pada

afsos hai ab zer e kahnjar

hai sibte nabi ka khusk gala

kohram bapa hai maqtal mein

har simt udaasi chaayi hai

kya ghurbat hai...


ye kalmago ne socha nahi

hai bose risalat ka ye makeen

rota hai falak kaampi hai zameen

hai khoon mein tar pyase ki jabeen

ahmed ke nawase ka lutna

islam ki ye ruswayi hai

kya ghurbat hai...


is ghalib ko pehchan muhib

jo karbobala tak aaya hai

ye baaghe fidak ka ghasib hai

tareekh ne ye samhjaya hai

kal qaatil e mohsin hai jisne

qaimon ko aag lagayi hai

kya ghurbat hai...