Kanz e Aza

Koi Bachale Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Safdar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

sada ye deti thi zehra mera hussain hussain

hai teen roz ka pyasa mera hussain hussain

khada hai dasht mein tanha mera hussain hussain


koi bachale hussain ko mere

sada ye fatema zehra ki goonji maqtal mein


hai mera laal akela nahi koi yawar

taras to khao koi is ghareeb o muztar par

chala na de ye sitamgar hussain par khanjar

koi bachale hussain ko...


ye kaisa ajr diya tum ne meri khidmat ka

koi to karde ada aaj haq risalat ka

madad ko aaye koi waqt hai qayamat ka

koi bachale hussain ko...


zara to socho mohamed ka ye nawasa hai

ay logon deen e khuda ka yehi asaasa hai

bala ke dasht mein seh roz ka ye pyasa hai

koi bachale hussain ko...


kahin se aate hai pathar kahin se teer o tabar

sitam hai kaisa hazaron hai zakhm ek dil par

ghira he nargha e aada mein mera lakhte jigar

koi bachale hussain ko...


jo mujhpe beet rahi hai bata nahi sakti

jo zakhm dil pe lagay wo dikha nahi sakti

mai apne lakhte jigar ko bacha nahi sakti

koi bachale hussain ko...


mai ek maa hoo mujhe sabr kis tarha aaye

nabi ki beti hoo mujh par koi taras khaaye

mai qatl gaah mein karti hoo bain ye haye

koi bachale hussain ko...


tamaam ahle jahan ne sada suni safdar

ghareeb maa ki ye aah o buka suni safdar

fughan ye sab ne sar e nainawa suni safdar

koi bachale hussain ko...