hur ka sar hai zaanuye shabbir hai
marne waale kya teri taqdeer hai
hur ka sar hai...
khauf kya mehshar ka daaman-geer hai
haath mein jab daaman e shabbir hai
hur ka sar hai...
apne apno ke to kaam aate hai sab
ha ali maula e aalam-geer hai
hur ka sar hai...
kyon na ho mai hoo ghulame bu turaab
baaghe jannat han meri jageer hai
hur ka sar hai...
gar hata do noor-e-ahle bayt ko
kaunsi islam mein tanveer hai
hur ka sar hai...
aap ne jo khwaab dekha tha khaleel
karbala us khwaab ki tabeer hai
hur ka sar hai...
naam hai mera azadare hussain
kaam mera matame shabbir hai
hur ka sar hai...
.
dekh ummat dekh le akbar ki laash
ye nabi ki khoon bhari tasveer hai
hur ka sar hai...
kat raha hai taygh se sheh ka gala
aur baali par khadi hamsheer hai
hur ka sar hai...
jodta hai kyon kamaan se teer e zulm
hurmula asghar ki kya taqseer hai
hur ka sar hai...
laashe akbar dekh kar maa ne kaha
khwaab kya dekhe thay kya tabeer hai
hur ka sar hai...
ek ali ke thi galay mein reesma
ek ali ke paaon mein zanjeer hai
hur ka sar hai...