Kanz e Aza

Hurr ki Aisi Na Kisi

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

hurr ki aisi na kisi aur ko taqdeer mili

jis ko dozakh ke ewaz khuld ki jageer mili

hurr ki aisi na kisi…


panjetan kar gaye saabit jo amal se apne

us se behtar koi quran ki na tafseer mili

hurr ki aisi na kisi…


teer kyun maar diya bache ko zaalim tu ne

hurmala kaun si baysheer ki taqseer mili

hurr ki aisi na kisi…


sar pe chadar nahi phir bhi wo nahi nange sar

jinko parde ke liye chadar e tatheer mili

hurr ki aisi na kisi…


koi ek baar madine msy na pehchan saka

qaid se choot ke jab zainab e dilgeer mili

hurr ki aisi na kisi…


sab mile choot ke zindan se sakina ke siwa

haan magar fatema sughra se na hamsheer mili

hurr ki aisi na kisi…