sar peeto momino ke qayamat ki ghadi hai
aale ali pa dekho musibat ye badi hai
haye ali maula haye ali maula
qatl sajde mein ho gaye maula
khoon ugalti hai masjid e kufa
hae mere maula aa mere maula
hae mere aaqa aa mera aaqa
masjid mein shor utha ali qatl ho gaye khaalik ke ghar mein rab ke wali qatl ho gaye
khaalik ke ghar mein rab ke wali qatl ho gaye
tar khoon mein musalla hua bu-turaab ka
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
har zarra ro raha hai ali gham mein aap ke
kaaba bhi ghamzada hai ali gham mein aap ke
aansu baha rahe hai nabi aur ambiya
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
kaisa sitam kiya hai ye dekho shareer ne
talwaar has ke mari hai us be-zameer ne
do neem hogaya hai sare shaahe la fata
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
hasnain sar ko peet ke hote hai beqarar
abbas bhi tadapte hai rote hai zaar zaar
ab kaun hai yateemon ka dunya mein aasra
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
hyder ko is tareeqe se hasnain uthaye thay
jis tarha koi kaandhe pe mayyat ko laadle
mushkil kusha ke beton pa mushkil ki inteha
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
aaye ali jo ghar mein to roti thi bibiyan
kulsoom sar ko peet ke leti thi hichkiyan
zainab giri hai khaak pe karti hui buka
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
nasir ye nauha sunke bahot roye soghwaar
haathon ko apne jod ke ye bole soghwaar
arif ne pursa aap ka dil se ada kiya
qatl sajde mein...
khoon ugalti hai...
sar peete fatema
khoon roye mustafa
shabbar ka tadapna
shabbir ka girya
ghazi ka machalna
kulsoom ghamzada
zainab ne ye kaha
sar dekh ke tera
haye haye mere baba