tu meri tamanna mai tujhse hoo zinda
ab de de sahara ay ishq ke qibla
ay ishq ke kaaba ya hussain
deewangi mein had se guzar jaunga hussain
rauze ko tere dekh ke jee paunga hussain
mera junoon hai hussain mera sukoon hai hussain
dil mein ye aarzu thi ke ashoor ko chalun
abbas ki zari pa sar apna kham karun
maula mai milke aap se allah se milun
lekin waba ke chalte hoo majboor kya karun
kaise khadam ko choomne mai aaunga hussain
rauze ko tere dekh ke...
mera junoon hai hussain...
har lamha teri yaad mein rehta hoo raat din
bas ya hussain roke mai kehta hoo raat din
par ashk apne sabse chupata hoo raat din
wallah dil tadapta hai rota hoo raat din
ab dard e dil ye kisko mai batlaunga hussain
rauze ko tere dekh ke...
mera junoon hai hussain...
chehre pa tere ishq sajata hoo khwab mein
palkon se teri khaak uthata hoo khwab mein
rauze ko tere choomke rota hoo khwab mein
bedaar hoke khwaab se kehta hoo khwab mein
tabeer khwab ki mai kabhi dekhunga hussain
rauze ko tere dekh ke...
mera junoon hai hussain...
tu khoon ki hararat tu nafs ki quwwat
tu rooh ki zeenat tu qalb ki khudrat
ye meri rooh kehti hai shaam o sehar mujhe
jayegi wo ziyaraton par chod kar mujhe
ay aaqa ab to dede tu izne safar mujhe
ek pal bhi chain aata nahi zarra bhar mujhe
ghut ghut ke teri yaad mein mar jaunga hussain
rauze ko tere dekh ke...
mera junoon hai hussain...
jaun mai arbaeen mein hai meri aarzu
deta hoo mai usi ki qasam jo hai maahru
mujhse khatayen jo hui afwa kar de tu
nasir tadap ke kehta hai ay deen ki aabru
irfan se zari teri choomunga hussain
rauze ko tere dekh ke...
mera junoon hai hussain...
ana majnunal hussain
tu deen ki izzat quran ki tilawat
hyder ki wilayat shabbar ki fasahat
sajjad ki zeenat baqir ki hai hikmat
sadiq ki sadaqat kazim ki hai taaqat
mehdi ki mashiyat tauheed ki qudrat
abbas ki haibat