Deen e islam ko karbal mein bachatay hai hussain, istarha wada e tiflee ko nibhatay hai hussain.
1. apni aulad fida kar ke baqa e deen par, kufr ka naam zamane se mitatay hai hussain.
2. nazr kartey huway qaleq ko shahadath ke gulab, ek beyaban ko qulistan banatay hai hussain.
3. aao aiyub zara sabr ke jauhar dekho, sabr ki shaan hai kya aaj batatay hai hussain.
4.dekh kar qaimay ke dar se ye kaha fizza na, lash nausha ki maidan se laatay hai hussain.
5. hai qayamath ka sama koi madadgar nahi, hai laasha ali akbar ka uthatay hai hussain.
6.haal besheer ka kistarha batau maa ko, ran se qaiyme ko yahi sochtay jatay hai hussain.
7. maa khadi dekh rahi hai yeh dareh qayme se, qabr maidaan mein asghar ki banatay hai hussain.
8.jo uthatay hai alamdare jari kari parcham, usko har ranj o musibath se bachatay hai hussain.
9.tazkera hota hai abbas e jari ka jisdam, saath shahzadi e kaunain ke aate hai hussain.
10.rishta quraan ka itrat se nahi hoga juda, noke naiza se bhi quran sunatay hai hussain.
11.jis ke dil mein bhi ziyarat ki tadap hai sahil, bilyaqeen karbobala usko bulatay hai hussain