Kanz e Aza

ek din mein bhare ghar ko luttay huwe dekhi hoon

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

ek din mein bhare ghar ko luttay huwe dekhi hoon

zainab ne kaha bhai ko marte huwe dekhi hoon

1. jab qasim e muztar ka pamal huwa lasha

kuch pal mei hi kubra bhi dulhan se bani bewa aur kubra ko bewa mai bante huwe dekhi hoon


2. yeh aun o mohammed ki kya wada wafai hai

bachou ne mere sheh pe jaan apni lutai hai

lashou pe main bhai ko rote huwe dekhi hoon


3. aramaan tha mera ke dulha mai banaoogi

mere ali akber ka sehra mai sajaoogi

ab usko jawani mein marte huwe dekhi hoon


4. nanha ali asgher jab nusrat ke liye pohcha

ek teer se zalim ne masoom gala cheda

besheer ka manka mai dhalte huwe dekhi hoon


5. masoom se bache the aur tashnadahani thi aur samne nazrou ke dariya ki rawani th

mai pyass se bachou ko marte huwe dekhi hoon


6. haai yaad mujhe ab tak lamhe woh judai ke

ro ro ke lipatjana bachi ka woh qadmou se

bhai ko suey maqtal jatay huwe dekhi hoon


7. mai qaime se takti thi iss khoon bhare manzar ko par rok na payi main chalte huwe khanjar ko

sar tan se juda sheh ka hote huwe dekhi hoon


8. jab shaam e ghareeba mein chadar meri chinti thi

mai barha ghazy ko awaz lagati thi

abbas ke laashe ko sehme huwe dekhi hoon


9. mai samne thairi thi aur jalte rahe qaime

ruqsar sakina ke neele the tamachou se

bimaar ka bistar mai jalte huwe dekhi hoon


10. ashoor ko dekhe hain maine yeh sabhi manzar

dil hilta hai rahil ka zainab ka bayan sunkar

ek din mei bhare ghar ko luttay huwe dekhi hoon