Kanz e Aza

Faryad Hai Baba

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

zainab ye buka aaj bhi karti hai khule sar

faryad hai baba


be-parda phirayi gayi aulaad e payambar

faryad hai baba


baba mujhe ab koi na pehchaan sakega

ye haal hai mera

kuch itne sitam dhaaye hai taqdeer ne mujh par

faryad hai baba

zainab ye buka aaj bhi..


pamaal hua qasim e naushaah ka laasha

bewa hui kubra

mehendi bhare haathon ko dulhan reh gayi mal kar

faryad hai baba

zainab ye buka aaj bhi..


is gham se phata jaata hai seene may kaleja

mai reh gayi tanha

shabbir sa laaungi kahan se mai biraadar

faryad hai baba

zainab ye buka aaj bhi..


paywast hua seene may is tarha se naiza

khinch aaya kaleja

aur khoon may tadapta raha shakle payambar

faryad hai baba

zainab ye buka aaj bhi..


le kar mai alamdar ke do daste bureeda

aur khoon bhara kurta

aaungi ye kehti hui baba sar e mehshar

faryad hai baba

zainab ye buka aaj bhi..