Kanz e Aza

Faryad Hai Faryad

A noha written by Sahir (2026). Lyrics in Roman Urdu.

karti thi ye ro ro ke fughan zainab e nashaad

faryaad hai faryaad


pardes mein zehra ka bhara ghar hua barbaad

faryaad hai faryaad


barchi ki ani seena e akbar mein lagi hai

kya maa pa bani hai

tasveer e nabi ran mein hui jaati hai barbaad

faryaad hai faryaad...


zeenat ke liye daale hai gardan mein jo quran

surat ke musalman

hum aale payambar hai inhe ye bhi nahi yaad

faryaad hai faryaad...


kya kya na masayeb huwe kya kya na sahe gham

jab qaid huwe hum

har gaam par ek taaza sitam ek nayi uftaad

faryaad hai faryaad...


pardes mein hum ahle haram aise lute hai

sar nange phire hai

ruk jaate to dete thay aziyat sitam eejaad

faryaad hai faryaad...


tapti hui sehra ki zameen raah mein kaante

aur paon mein chaale

ghash khaa ke na gir jaaye kahin sayyed e sajjad

faryaad hai faryaad...


ab aun o mohamed hai na abbas na akbar

qasim hai na asghar

har ek ne ghar chod ke maqtal kiya aabaad

faryaad hai faryaad...


roti thi sakina jo kabhi gham se bilak kar

ho jaata tha mehshar

gaalon pa lagate thay tamache sitam eejaad

faryaad hai faryaad...


ghabrati thi zindan ke andhere mein sakina

dushwaar tha jeena

ab qaid mein soti hai wohi bekas o nashaad

faryaad hai faryaad...


sahir ghame shabbir mein aansu na rukenge

ta hashr bahenge

ab hum ko nahi kuch bhi masayab ke siwa yaad

faryaad hai faryaad...