Kanz e Aza

Fatema ka Tha Ye Noha

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

fatema ka tha ye nauha mere mazloom hussain

mujhko aawaz do beta mere mazloom hussain


maa ne paala tha tujhe pees ke chakki beta

tera rondha gaya laasha mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


soone jangal mein padi hai teri mayyat pyare

koi pursa nahi tera mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


bewa bano se sambhalti nahi nanhi bachi

yaad karti hai sakina mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


dekhun kin aankhon se laasha tera purze purze

tukde hota hai kaleja mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


ye na samjhe ke mera doodh bhi shaamil ismein

tera khoon ran mein bahaya mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


kaun mayyat pe tere baith ke beta roye

qaid mein hai tera kunba mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


zakhm hai jism ke gehre na aziyyat ho kahin

tujhko liptaun mai kaise mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


taygh thi haath mein ya khanjar tha qaatil ke

sar tera kaahe se kaata mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


karke bebas tujhe kyun qatl kiya qaatil ne

tune kya jurm kiya tha mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


khushk halqoom ko be-aab churi se kaata

na diya pani ka khatra mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...


ranj mein dekho na sarwar se kuch ho jaye

dil hai insan ka beta mere mazloom hussain

fatema ka tha ye nauha...