ho tasavvur aur ghame shabbir ho
haath ho seene pe zehn pa baysheer ho
ashk e gham mein kabhi tankeed ki parwa na karo
sada e girya ho yaade shahe dilgeer ho
fatema zehra ke bachon par bahao aansu
aah bhar ke ghame sarwar par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...
wo san e iksat hijri aur bala ka manzar
chaar jaanib thay darinde aur wo tanha sarwar
yaad e mazloomi e sarwar par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...
zaeef kaandhe pe laash tha jawan ka logon
aur dile zainab e muztar ka tadapna logon
har nafas ghurbat e sarwar par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...
maut ka darr na karo tum ho azadar e hussain
tumko deti hai dua azadar e hussain
bhool kar khauf e waba sheh par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...
apne maa behno se karta hoo guzarish is dam
berida hoke kabhi tum na manana ye gham
khastatan saani e zehra par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...
ho moharram ko tasavvur mein faqad ho sarwar
na siyasat ho zara dil mein faqad ho sarwar
khuloos e dil se shaheedon par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...
nauha jo tu ne likha aazam jaza o ahsan
khatra jo aansu ke nikle hai bane wo marham
soch kar zakhmi shahe deen par bahao aansu
fatema zehra ke bachon par...