Kanz e Aza

Ghareebe Karbala

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Azam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

ya ghareebe karbala

ya ghareebe nainawa

haa qateele be-khata

ya zabeehe nainawa


dashte bala mein aa ke ghera

mehman bula kar rukh apna phera

be-aab kar ke tumko sataya

alqama ro kar karti thi girya

ya ghareebe karbala...


aada ne tujhpe hai zulm dhaaya

darya kinare pehra lagaya

ro ro ke kehti thi ye sakina

mai bhi hoo pyasi tum bhi ho pyasa

ya ghareebe karbala...


qasim o akbar bhi gaye maara

tanha khade hai ab shaahe waala

maara gaya sab godh ka paala

kaisi musibat ka hai ye lamha

ya ghareebe karbala...


pani ke badle maara hai payka

nehr hua hai masoom bacha

phat gaya sheh ka us dam kaleja

darya ki maujon ne ye pukara

ya ghareebe karbala...


teer o tabar aur khanjar o naiza

mein chup gaya haye wo pyasa

pushte farash pe mushkil hai rehna

asr ka mehshar aur sheh ka sajda

ya ghareebe karbala...


hae hae wo asghar cheh maah waala

ghutno ke bal bhi jo chal na paaya

uska badan jo naize pa dekha

baba ke sar se boli sakina

ya ghareebe karbala...


sattar qadam pe zainab e kubra

roti thi haye karti thi girya

koi bacha lo aake khudara

jalti zameen pe hota hai zibha

ya ghareebe karbala...


aqif o aazam manzar ajab tha

kaata gala jab hilta tha sehra

naize pe sar jo baap ka dekha

sajjad ro kar us dam pukara

ya ghareebe karbala...