roti rahi hai sayyeda karti rahi aah o buka
fatema kehti hai mai roti thi chillaati thi
haye mai khanjar e qatil se lipat jaati thi
mere husain ka zakhmon se bhar chuka tha badan
khareeb hi dare qaime pe ro rahi thi behan
meri fughan se larazne laga tha saara ban
juda hussain ki gardan jo hui jaati thi
haye mai khanjar e qatil...
gira tha ghode se jis dam wo mera laqte jigar
utha ke godh mein rakha tha maine uska sar
giraati jaati thi aansu mai uske honton par
wo pyaas taygh talay aur badi jaati thi
haye mai khanjar e qatil...
mai ro ke kehti thi zaalim se zulm ke baani
agar hai dil mein zara sa bhi dard e insani
ba waqte zibhe to de de husain ko pani
nabi ka waasta de de ke mai samjhati thi
haye mai khanjar e qatil...
mai boli laashe uthaata raha hai ye din bhar
jawan bhai ke gham mein jhuki hui hai kamar
kadi hai dhoop udha de usay koi chadar
mai baal khole huwe dasht mein chillaati thi
haye mai khanjar e qatil...
kabhi jo karbobala jao mesum o rehaan
tumhare kaano mein aayegi ek sada har aan
ghareeb maa teri ghurbat pe sabr par qurban
mai kuch na kar saki bas itna hi kar paati thi
haye mai khanjar e qatil...