Kanz e Aza

Ghazi Alamdar Teri

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ghazi alamdar teri qasam

jhukne nahi denge tera alam


teri amanat samajh kar isay

tere alam ko uthaate hai hum

ghazi alamdar...


le kar alam suye darya gaya

maujon ne choome thay tere qadam

ghazi alamdar...


sookhe huwe hont bachon ke thay

is gham mein aankhein rahi teri nam

ghazi alamdar...


teri wafa tere paikar mein thi

paaya tha hyer ka jaah o hasham

ghazi alamdar...


likhi kibate wafa is tarha

ran mein huwe tere baazu qalam

ghazi alamdar...


mashk e sakina se pani baha

aur aagaya tera honton pe dam

ghazi alamdar...


marne se tere ghazab ye hua

sheh ki kamar hogayi gham se kham

ghazi alamdar...


zainab ke dil se na kam ho saka

abbas teri judaai ka gham

ghazi alamdar...


hum jo balaaon se bachte rahe

abbas ghazi ka hai ye karam

ghazi alamdar...


farhan nauha ye abbas ka

karta hai rehaan ro ke raqam

ghazi alamdar...