ay alamdare hussain wa abbasa
qaime ka parda hai utha wa abbasa
kaun chala suye darya abbasa
ye kaun aa raha hai ghairat ka ye khuda hai
ghazi hai bawafa hai
aane ko hai qayamat mehsoos ho raha hai
wo ghar se yun chala hai dharti pe zalzala hai
aada ka har sipahi ye kehke bhaagta hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
chehra ali ka chehra khushboo ali ki khushboo
seena ali ka seena baazu ali ke baazu
jis rukh se dekhte hai tasveer e murtuza hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
haa isne bachpane mein maa se sabakh ye seekha
shabbir ki ghulami sab se bada hai rutba
ye sher is sabakh ko dohraye jaa raha hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
hyder hai isme aazam har dard ki dawa hai
quran keh raha hai ye naam ek dua hai
ghazi hai naam jiska hyder ki wo dua hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
izne wigha nahi hai hasrat hai bas wigha ki
talwaar sheh ne rakhli kismat hai ashkiyan ki
mashkeeza baazuon ke badle bacha raha hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
tashnalabi ka aalam maujon pe gaada parcham
qabze mein leke pani lab ko nahi kiya nam
darya se pyaas bhar ke wapas jo aa raha hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
dooba hua lahoo mein parcham jo aa raha hai
pyason ka farte gham se dil doobne laga hai
boli sakina tehro pani wo laa raha hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
baazu to kat chuke hai mashkeeza chid gaya hai
kya ghar ko jaye ghazi ghairat ka marhala hai
har tashnalab ka chehra nazron mein ghoomta hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...
rehaan gham se tooti shabbir ki kamar hai
abbase bawafa ka dunya se ab safar hai
lekin lahoo se apne wo likh ke jaa raha hai
ghazi hai bawafa hai
ye kaun aa raha hai...