jiska jee chaahe wo zehra pe sitam dhaata hai
pursa kya aise yateemon ko diya jaata hai
mera darwaza jalaya kar diya pehlu shikasta
phasliyan tod di meri
ya ali hyder e karrar
kya unhe khabar nahi ali
fatema yateem hogayi
zahra haye zahra zahra haye zahra
sochti thi mustafa ki hoon mai laadli
pursa dene aayenge madine se sabhi
intezar farshe gham pe karti reh gayi
mere sar pe haath rakhne aaya na koi
teen din ke baad aaye to
ghar mera jala diya ali
kya unhe khabar nahi...
zaalimon ne jalta dar giraya jis ghadi
haye mujhko fikr thi bas apne laal thi
phasliyon ke tootne ki kab sada suni
mera mohsin ab nahi bacha samajh gayi
jiska intezar tha mujhe
chehra uska dekh na saki
kya unhe khabar nahi...
ya ali hyder e karrar
aap se na jaane unko kitna bughz tha
ya ali kaha to aage ek layeen bada
kya bataun jab talak wo thak nahi gaya
haath par wo taaziyane maarta raha
ungliyon mein itna dard hai
haath na uthega ab kabhi
kya unhe khabar nahi...
kaise ye tamache ka nishan chupaungi
poochega hussain to mai kya bataungi
kaise apne bachon se nzazar milaungi
saamne hassan ke ab mai kaise jaungi
mujhpe haath utha jahan kabhi
bhool na sakungi wo gali
kya unhe khabar nahi...
mujhko dekhte hi masnad apni chod kar
karte thay adab mera jahan mere padar
jaane kab talak khadi thi mai magar
baithe has rahe thay sab wo mere haal par
unka ye sulook dekh kar
dekho mai zaeefa hogayi
kya unhe khabar nahi...
zakhmi aur yateem meri tarha ya ali
hogi ek laadli mere hussain ki
choti zehra hone pe sitam uthayegi
qaid hoke jab wo shehre shaam jayegi
khayegi tamache shimr ke
raah mein sakina bhi meri
kya unhe khabar nahi...
kaise zeeshan likhe kis tarha farhan padhe
fatema zehra pe jo zulm madine mein huwe
bibi har zulm pe kehti thi yehi ro ro ke
kya yateemon pe sitam karta hai koi aise
hai dua waqt kisi maa pe na aaye aisa
saamne bachon ke jis tarha mujhe maara gaya