safar tamaam hua dekh chuka karbobala
alvida kehne jo maula ke haram mein pahuncha
aankh se aansu bahe dil mein udaasi chaayi
yaad jab syed e sajjad ki rukhsat aayi
haye wo dasht e bala be-kafan tha laasha
apne haathon mein kafan dekh ke maine ye kaha
ghareeb e zahra shaheed e karbobala
kahan hamara safar kahan hamara safar
hum ne jab pehla qadam karbobala mein rakha
tum ne zawwaron ka is tarah se ehsaas kiya
rakh diya haath azadaron ke dil par haye
hum ne rona bhi agar chaaha to rone na diya
haa magar tumko yahan jab bulaaya mehmaan
mil ke nau laakh ne maqtal mein rula kar maara
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...
aaj rauze se bahot door hai darya maula
haa magar phir bhi in aankhon ne ye dekha maula
har qadam raah mein pani ki sabeelein to mili
karbala mein na mila koi bhi pyasa maula
teen din tak tum pe band pani rakh ke
kar diya qatl isi shehr mein bhooka pyasa
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...
maula hum bhool nahi payenge zainab ki thakan
aap ki tarha mere saath bhi aayi hai behan
wo bhi ghar laut ke jayegi yahan se lekin
sar pe chadar bhi hai haathon mein nahi koi rasan
aur tumhari wo behan ho ke paaband e rasan
shaam ruqsat hui baalon se chupa kar chehra
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...
baap se door kahan rehti hai koi beti
jab meri beti mere seene se aakar lipti
koi na aaya usay mujhse chudaane ke liye
haa magar aap ki wo chaar baras ki pyasi
dasht mein roti hui aap se jab lipti
shimr ne khaynch ke baalon se tamacha maara
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...
ek din rauza e abbas pe hum baithe thay
chalte chalte wahan ek shakhs gira jab aa ke
khud wo uth sakta tha baazu thay salamat phir bhi
jis ne dekha wo chala aaya sahara dene
aur gire yun ghazi hua chehra zakhmi
apne haathon ka sahara bhi nahi tha maula
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...
dil yahin chod diya laut ke jaata hoo watan
karne aaya hoo salaam aakhri ay shaah e zaman
na andhera hai na mujh par hai museebat koi
tauq gardan mein na zanjeer mein jakda hai badan
aur wo abid ka safar ek qaidi ban kar
sar jhukaye huwe laashe se tumhare guzra
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...
aa gaya mesum o zeeshan mai rukhsat ho kar
na hi kaanto ki chubhan na koi sar naize par
taaziyane bhi kisi ne nahi maare mujhko
aag na khaulta pani na baraste pathar
jitna chaaha roya kab kisi ne maara
raah mein apna safar dekh ke mai kehta raha
ghareeb e zahra...
kahan hamara safar...