Kanz e Aza

Ghareebo Bekaso

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Mirza Murtaza Ali. Lyrics in Roman Urdu.

ghareeb-o-bekaso laachar awara watan zainab

muqadar ho chuke tere liye ranjo mehan zainab


nawasi mustafa ki noore chashme fatema zehra

ali ki laadli hai aur shahe deen ki behen zainab

ghareeb-o-bekaso...


duhaai hai duhaai baylcha zaalim ne mara hai

hui hai jaa ba haq pardes mein majrooh tan zainab

ghareeb-o-bekaso...


tameeme bad-gohar ke na khalaq ne kya sitam toda

aseere ranjo gham hai be-dayaro be-watan zainab

ghareeb-o-bekaso...


hussain ibne ali ka jis shajar mein sar tha aavezaar

usi ke zere saaya khoon mein tar hai khastatan zainab

ghareeb-o-bekaso...


wo teri pushte athar aur jarahat taziyano ki

har ek ko khoon rulata hai tera zakhmi badan zainab

ghareeb-o-bekaso...


kabhi bazaare kufa mein kabhi khasre yazeedi mein

kabhi darbar mein hai berida sheh ki behen zainab

ghareeb-o-bekaso...


na bhoola hai zamana aur na bhoolega qayamat tak

wo darbare yazeedi tere baazu aur rasan zainab

ghareeb-o-bekaso...


dua mirza ki hai bigdi kaneezo ki bana dije

tumhare dar pa aaye azaar hai charkhe gohan zainab

ghareeb-o-bekaso...