Kanz e Aza

HAAYE SYEDA ZAINAB

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

HAAYE SYEDA ZAINAB HAAYE SYEDA ZAINAB

JAAN-E-KARBALA ZAINAB HAAYE SYEDA ZAINAB


1.Jin-o-Ins Rotey Hai Kheke Jaan Khote Hai

Wa Musibata Zainab Haaye Syeda Zainab

2.Baniye Aza Zainab Pheli Zakira Zainab


Haaye Syeda Zainab Haaye Syeda Zainab


3.Kya Kya Hadesey Guzrey Pusht Par Laagey Durrey


Ruh-e-Fatima Zainab Haaye Syeda Zainab


4.Deen Ko Tu Rida De Di Bhai Par Fida Kardi

Apne Nounehaal Zainab Haaye Syeda Zainab

5.Raat Ke Aandhere Me Dushmanou Ke Gherey Me

Dhudhti Hai Kya Zainab Haaye Syeda Zainab


6.Julm-o-Jor Sehne Ki Ibteda Toh Maa Ne Ki

Tu Hai Inteha Zainab Haaye Syeda Zainab

7.Bailchey Se Zalim Ne War Hai Kiya Kaisa

Kargayi Qaaza Zainab Haaye Syeda Zainab


8.Kitne Rah Me Bichdhe Kitne Hadesey Guzrey


Tu Ne Sehliya Zainab Haaye Syeda Zainab