Kanz e Aza

Heyhaat minnaz zilla

A noha recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

heyhaat minnaz zilla

paigham e hussain ibne ali aam karenge

haq ke liyeh batil se sada ladte rahenge

har zulm ko awaz yehi dete rahenge


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


rokega kaise koi bhala matam e sarwar

hum gham bhi manate hai sabhi ashk bahakar

sar par hai kafan hum hai fidaye ali akbar


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


hum ashiq e haider hain suno hum hain hussaini

gardan ko kata dena hai miras humari

manzoor nehi humko yeh zillat ki zindegi


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


qasim ne shahadat ka maza humko bataya

miti yeh shahadat hai shahad se bhi ziyada phir kyon na lade kyon na mare jaake karbala


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


shabbir ke rouze main sada hoga arbayeen

jitna bhi chahe zulm karo kam e zalemeen

tum rukna chaho na rukengay yeh zayereen


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


karbo bala najaf toh kabhi jaaye samera phir kazemeen o shaam kabhi shehr e madina

nabood hum karenenge sabhi zulm aur jafa


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


naize pe sar hussain ka kehta hai aaj bhi

leila ke noor e ain ka kehna hai aaj bhi

nanha sa woh shaheed sunata aaj bhi


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


abbas ke parcham ko liyeh aage badenge

os bawafa ke naam ko roshan hi rakhenge

bazu bhi jo kat jaye agar kehte rahenge


heyhaat heyhaat heyhaat minnaz zilla


humko hai intezaar zahoor e imam ka

mehdi ke saath saath rahein hai yehi dua

jab tak hai jaan dega raza bas yehi sada

labbaik labbaik labbaik ya mehdi