jo bichate hai moharram mein sada farshe aza
fatema unki hifazat ki dua karti hai
apna gham bhool ke karte hai jo matam sheh ka
fatema unki hifazat ki dua karti hai
chaand aata hai nazar maahe aza ka jis dam
sheh nasheenon mein azadaar sajate hai alam
jab wo karte hai hussain ibne ali par girya
fatema unki hifazat ki...
laut kar des mein pardes se aa jaate hai
apni daulat jo ghame sheh mein luta jaate hai
aam karte hai jo har saal ghame karbobala
fatema unki hifazat ki...
dil mein rakhte hai sada ahle haram ka ehsaas
yaad mein unki pehente hai jo bas kaale libaas
rashk un logon pe karta hai libaas e kaaba
fatema unki hifazat ki...
shah ke matam mein jo sholon pe chala karte hai
naam e shabbir pe jo jaan fida karte hai
unko hota hi nahi jaan ka koi khatra
fatema unki hifazat ki...
jo bahate hai ghame sibte nabi mein aansu
aur zanjeer o qama kar ke bahaate hai lahoo
unka hota hai har ek lamha madadgaar khuda
fatema unki hifazat ki...
parchame hazrate abbas uthane waale
pa barahna hai julooson mein jo aane waale
apne honton pe liye haye hussaina ki sada
fatema unki hifazat ki...
sheh ke maqsad ke muhafiz bhi hai ghazi bhi hai
jo azadaar bhi hai aur namazi bhi hai
farshe majlis pe jo karte hai khuda ka sajda
fatema unki hifazat ki...
door rehti hai bala karbobala waalon se
munsalik hai jo sada karbobala waalon se
unki har gaam pe karte hai hifazat maula
fatema unki hifazat ki...
roz karte hai wazeefa ye kumail o aamir
dil mein rakhte hai aqeeda ye kumail o aamir
jo bhi padhte hai hussain ibne ali ka nauha
fatema unki hifazat ki...