kehti thi rokar ye maa seene mein dil hai tapan
ek hai kadiyal jawan doosra hai bezuban
dono sidhare jina dasht mein tanha hai maa
soona hai saara jahan ujdha pada hai makan
aankhon se khoon hai rawan
ho ali akbar kahan
ho ali asghar kahan
karti hoo kabse buka dete nahi tum sada
kyon hue mujhse khafa kya hui mujhse khata
jis tarha choote ho tum mujhse mai tum par fida
is tarha koi pisar maa se na hovay juda
dasht mein tum meri jaan hogaye kisja niha
ho ali akbar kahan...
meri ummedein gayi mere sahaare gaye
jinko samajhti thi jaan haye wo pyare gaye
pyaas se thay jaan-balab pyase hi maare gaye
karbobala mein wo aaj zulm se maare gaye
haathon se khoon hai rawan tum ko mai paa'un kahan
ho ali akbar kahan...
muft jawani teri raayega akbar hui
khaak mein posheeda aaj surate asghar hui
sar se rida chin gayi qaid bhi madar hui
ran mein na ab tak amaan mujko meinassar hui
tum ho sidhare jahan mujhko bulalo wahan
ho ali akbar kahan...
qaima jala ghar luta baad-e-shahe do jahan
ab koi mumkin nahi poochne wala yahan
ay mere roohe rawan ay mere taabo tawan
waadiye ghurbat mein aaj chut gayi dono se maa
ek ka gala chid gaya ek ne khaayi sina
ho ali akbar kahan...
boli musawwir ye maa gham ki ghata cha gayi
ran mein mere sher ko kiski nazar kha gayi
hasliyon wala jo tha usko bhi maut aagayi
ghar ko to veeran kiya karbobala bha gayi
dil mein hai ek ke sina teer ne li ek ki jaan
ho ali akbar kahan...