ho gaya shaheed akbar-e-jawa
sar ko peet kar keh rahi hai maa
1. jayein to kidhar ghamzada hussain
ho kaha pe tum mere noor-e-ain
pyaas se nazar hai dhuva dhuvan (2 times)
2. reg-e-garm par arz-e-karbala
ediya ragadta hain mai laqa
seena-e-pisar se hain khoon rava (2 times)
3. yousuf-e-hussain tha woh mai laqa
margaya woh hum shakl-e-mustafa
khavi qalb par zulm ki sina (2 times)
4. paal kar jawaan tha jise kiya
uske byah ka gham hi rahgaya
roke kar rahi hain phuphi baya (2 times)
5. noojawan hain khoon mein tarbatar
kis tarah uthe laasha-e-pisar
hain hussain par saqt imteha (2 times)
6. maa ke bain se hashr hai bapa
qaak udati hai arz-e-kabala
qoo rolayega ab yeh aasmaa (2 times)
7. tere qal-o-qat yaad ayengey
maa ko umr bhar khoo rolayeney
royegi tujhe umr bhar yeh maa (2 times)
8. sogwar hai sadiq-e-hazi
maa-o-mehar sab aur falak zamee
haye margaya akbar-e-jawaan