huwe paida to surat dekhne har sheh khushaab aaya
jawani inpe kya aayi madine ka shabab aaya
magar jab karbala ke dasht mein ye mahtaab aaya
falak khaabil mitane ke na thi tasveer akbar ki
ali ka naam sin zehra ka aur surat payambar ki
tujhe to yaad hi honge who lahrate huwe gaysu
wigha mein maa ki shafqat yaad dilwate huwe gaysu
kaleje mein sina abrooh pe balkhate huwe gaysu
falak khaabil mitane ke na thi tasveer akbar ki
ali ka naam sin zehra ka aur surat payambar ki
suna hai jaan ke seene pe barchi jang mein khaayi
ye manzar le gaya shabbir ki aankhon ki beenayi
taajub kya agar qaime se shehzaadi nikal aayi
falak khaabil mitane ke na thi tasveer akbar ki
ali ka naam sin zehra ka aur surat payambar ki
utha kar laash laaya fatema ka maharoo kyunkar
khuda ka hai soonghi gayi zulfoon ki boo kyunkar
na jaane baap ne pocha tha chehre se lahoo kyunkar
falak khaabil mitane ke na thi tasveer akbar ki
ali ka naam sin zehra ka aur surat payambar ki