HO KAHA BHAYYA MERE AYE ALI AKBER
KHETI THI SUGHRA YAHI HAR GHADI ROKAR
Kaisi Aafat Aayi Hai Baap Hai Na Bhai Hai
Mai Watan Me Hu Magar Aalam-e-Tanhayi Hai
Bin Tumhare Hogaya Suna Suna Ghar
Zindagi Mujhko Hai Bar Dil Hai Mera Be-Qarar
Ek Qayamat Ban Gaya Ab Ye Tera Intezar
Chalta Hai Qanjar Mere Dil Pe Reh-RehKar
Tune Wada Tha Kiya Tujhko Lene Aaunga
Raat Din Ankhon Me Bas Rheta Hai Chera Tera
Kab Tu Aqir Aayega Shabi-e-Payghambar
Kab Se Mai Bimar Hu Jeene Se Bezarn Hu
Kab Se Mai Bhayya Teri Talab-e-Deedar Hu
Hai Tamanna Dekhlu Tujhko Jeebhar Kar
Jhule Wala Na-Tawan Mera Bhai Be-Qarar
Dil Tadapta Hai Mera Usko Dhundhu Mai Kaha
Yaad Aata Hai Bahut Wo Mera Asghar
Tha Yahi Sughra Ka Kaam Leke Bas Akber Ka Naam
Kheti Thi Ahsan Yahi Dekhti Hu Subh-o-Shaam
Tere Qadmoun Ke Nashan Hai Jo Mithi Par