Kanz e Aza

Kab Aaoge Ay Baba

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Samar Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

moray baba


dil ghar mein nahi lagta kab aaoge ay baba

pardes mein tum jaa ke kya bhool gaye waada


kab aaoge ay baba mar jayegi jab sughra

dil ghar mein nahi lagta kab aaoge ay baba


neend udh gayi raaton ki aisi hai pareshani

ghar mein hai faqad baba chaayi hui veerani

wo zinda nahi rehta ho jaata hai jo tanha

moray baba

pardes mein tum jaa ke kya bhool gaye waada

kab aaoge ay baba mar jayegi jab sughra

dil ghar mein nahi lagta...


ro ro ke nigahon mein dhundhla gaye sab manzar

jis simt bhi dekhun to aate hai nazar akbar

awaaz magar doo to koi bhi nahi aata

moray baba

pardes mein tum jaa ke kya bhool gaye waada

kab aaoge ay baba mar jayegi jab sughra

dil ghar mein nahi lagta...


jab yaad tumhe kar ke roti hoo mai raaton mein

lagta hai koi bibi aati hai hijabon mein

seene se laga kar wo roti hai mujhe baba

moray baba

pardes mein tum jaa ke kya bhool gaye waada

kab aaoge ay baba mar jayegi jab sughra

dil ghar mein nahi lagta...


khwabon mein sakina ko dekha hai bahot maine

wo kis ke kate baazu thaame huwe roti hai

khoon kaano behta hai ruqsaar hai kyun neela

moray baba

pardes mein tum jaa ke kya bhool gaye waada

kab aaoge ay baba mar jayegi jab sughra

dil ghar mein nahi lagta...


chalta tha samar sheh ke halqoom pe jab khanjar

kehti thi raza us dam sughra yehi ro ro kar

khoon rota hai kyun baadal pani nahi barsaata

moray baba

pardes mein tum jaa ke kya bhool gaye waada

kab aaoge ay baba mar jayegi jab sughra

dil ghar mein nahi lagta...