jaata hai madine se mohamed ka gharana
sughra ko diye jaata hai zakhmon ka khazana
jo hai wohi saaman e safar baandh raha hai
lekin mera bistar usay goshe mein pada hai
mujhse ye hidayat hai dawa waqt se khaana
jaata hai madine se...
hai saath mein baba ke chacha bhai hamare
suraj ke tarafdaar hai sab chand sitaare
ab aaj se ghar ho ga andheron ka thikana
jaata hai madine se...
beemar hoon lekin koi khatra to nahi hai
mai raah mein mar jaungi aisa to nahi hai
dhoonda hai mujhe chod ke jaane ka bahana
jaata hai madine se...
kuch dayr wo lipti rahi phupiyon ki rida se
baba se kaha aur kabhi apne chacha se
le jaane pe sughra ko magar koi na maana
jaata hai madine se...
pardes mein bhi mere liye sochte rehna
khat bhej ke tum sab ki khabar bhejte rehna
is chaahne waali ko zyada na rulaana
jaata hai madine se...
dil ke kisi goshe mein mera naam bhi likh lo
phir jisko bhi chaaho usay jee jaan se chaaho
lekin mere hisse ki mohabbat na lutana
jaata hai madine se...
mai koi bhi zehmat tumhe hone nahi doongi
aankhein to alag dil ko bhi rone nahi doongi
tum mere taraf se koi sadma na uthana
jaata hai madine se...
kuch din mein mera bhai ho jab bolne waala
de dena isharon mein usay mera hawala
bechain agar ho to usay zyada na batana
jaata hai madine se...
tanhaai dade hadh se to bhulwa na sakun mai
ya aana bhi chaahun kabhi aa na sakun mai
bas itni guzarish hai kahin door na jaana
jaata hai madine se...
jeene nahi deta mujhe yaadon se bhara ghar
aisa bhi nahi koi jo gham baat le aa kar
apno ki tarha bhool gaya mujhko zamana
jaata hai madine se...
di laakh suroor usne na jaane ki duhaai
beemar kisi ko bhi magar rokh na paayi
ashkon ki tarha hogaye sab log rawana
jaata hai madine se...