Kanz e Aza

Haaye Alamdaar Haye Alamdaar

A noha for Arbayeen, recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

utho mere ghamkhaar wafadar baradar chehlum ke liye ayi hoon {2} ghazi main ujadkar


haye alam dar haye alamdar . . . . .


1. har ghaam pe bhai mein uthati thi musibat

seli kabhi kode kabhi durron ki aziyat aur uspe qayamat. . . . .

bazar mein thi bibiyan be maqna -o- chadar


haye alamdar haye alamdar . . . . .


2. kistarha kahoo kitni satayi gayi zainab

bazaro mein shehro mein phirayi gayi zainab

bhai gayi zainab. . . . .

rone bhi nahi dete the jee bhar ke sitamgar


haye alamdar haye alamdar . . . . .


3. aye bhai suno sham -e- ghareeba ki ye rudad

qaime jale chadar chini main ho gayi barbad

sun lo meri fariyad. . . . .

aaye na madad ko meri aye mere baradar


haye alamdar haye alamdar . . . . .


4. zindan mein har lamha tadapti thi sakina

aghosh chacha ki thi na baba ka tha sina

dushwar tha jeena. . . . .

ghut ghut ke wahi margayi bachi meri akhar


haye alamdar haye alamdar . . . . .


5. be maqna -o- chadar sar -e-bazar gayi hoon

shiree se kabhi umme habiba se mili hoon

main toot gayi hoon

sar sharm se mera kabhi utha na baradar


haye alam dar haye alamdar . . . . .


6. abbas asiri ne hume khoob rulaya

ummat ne bahut aal-e-payamber ko sataya aur qaidi banaya . . . . .

baazoo pe nasha rassi ke layi hoon baradar


haye alam dar haye alamdar . . . . .


7. hakim ke tarafdar har ek simt layee the aur kursiyon pe baithe huwe dushman -e- deen the

hum qaak nashee the . . . . .

aankhon mein abhi tak hain wo darbar ka manzar


haye alam dar haye alamdar . . . . .


8. manzar yahi kehti rahi roro ke wo dukhiya

turbat pa alamdar ki majlis huwi barpa

zainab ka tha nauha. . . . .

jaun main watan kis liye aur kya karoo jeekar


haye alam dar haye alamdar . . . . .