fatema ke chain ne ali ke noore ain ne
bakhuda hussain ne deen ko bacha liya
harf aa raha tha deene mustufa ke naam par
mimbare rasool bik raha tha takhte shaam par
deen ki asaas ne daste haq shanaas ne
ummate mohamadi ko khwab se jaga diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…
har taraf se band ho chuke thay haq ke raaste
khoon maangta tha deen zindagi ke waaste
deen ke usool ne nayabe rasool ne
zindagi ka karz apne khoon se chuka diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…
ameer e shaam bangaya tha saamp aasteen ka
khusravi ke sar pe rakh raha tha taaj deen ka
baadshahe deen ne boriya nasheen nay
aarzu e khusravi ko khaak mein mila diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…
phir se shirk ki taraf palat na jaaye aadmi
raahe mustaqeem se bhatak na jaaye aadmi
shaahe tashnakaam ne waqt ke imam ne
haq ki raah par lahoo se ek diya jala diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…
halqe bezaban se zulm ki kamaan tod di
sheh raghe gulu se khanjaro ki dhaal modh
naazishe hayat ne asre kayenat ne
sar kata ke aadmi ka sar baland kar diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…
badte badte baat jab usoole deen pe aa gayi
aur yazeediyat ki shakl mein urooj pa gayi
badke phir dilayr ne shere haq ke sher ne
do pahar mein taqt o taaj qasre shaam dha diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…
dil kahan se laaun jo karun ye waqeya bayaan
teen din ki pyaas mein wo hausla tha al-amaan
zulm ke aseer ne ran mein ek sagheer ne
muskurake fauj e shaam ko rula rula diya
deen ko bacha liya
fatema ke chain…