Seena'e Akbar se jo khenchi sina
Hogaya ek khoon ka darya rawa'n
Kaise uthe Laasha'e Kadiyal jawa'n
Tu ne woLaasha bhi uthaya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Jang huwi khoon me ghaltaan huwe
Khaakh pa Zainab ke Pisar gir pade
Khaime me jab Dono ke Laashe gaye
Maa ne kiya Shukrka Sajda Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Dekh ke Naoshah Ka Tukde badan
Bain kare Kis se lipat kar Dulhan
Door Madine me hai Hamsin Bahan
Bewa huwi Fatima Kubra Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Dafn kiya Tu ne jo apna Pisar
Nanhi si turbat me jigar thaam kar
Asghar e Masoom ki Maa ne magar
Phool sa Sar naize pa dekha Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Akbar o Asghar bhi fida kardiye
Qasim o Abbas juda hogaye
Deen e Payambar ki baqa ke liye
Tu ne bhare ghar ko lutaya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Hazrat e Abbas ke Shaane kate
Zainab o Kulsoom ke Baazu bandhe
Haay wo Pyaason pa kathin marhale
Tauq me Aabid ka gala tha Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Shimr jo khanjar liye aage badha
Fatima Zehra ki ye aayi Sada
Chhor de Bachcha hai Mera bekhata
Hai ye Muhammad ka Nawasa Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Deti rahi Fatima Zehra sada
Katgaya lekin Tera Pyaasa gala
Sar Tera naize se bhi Deta raha
Haqq o Sadaqat ki sada Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Aale Nabi Koocha 0 Bazaar me
Tauq e Giraa'n Gardan e Beemar me
Sar khule phir Shaam ke darbar me
Laayi gayi Saaniye Zehra Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Shaam ke zindaan ki taarikiya'n
Karti rahi Pyaasi Sakina fugha'n
Sou'n Main kaise Tera Seena kahan
Aaiye jald Aaiye Baba Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Shimr ne maare hain tamaache Mujhe
Dekhiye rukhsaar hain soojhe huwe
Dard hai kaano me abhi tak Mere
Marti hai ab Teri Sakina Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Aaj talak hai Tere Gham ka asar
Shaam me Majlis ki bina daal kar
Binte Ali baith Gayi'n khaak par
De diya Majlis ka Saleeqa Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ham ko Tere Gham ki Sa'aadat mili
Kitni balandi ki Ibaadat mili
Ek Tere Maatam me ye Izzat mili
Aati hain Majlis me jo Zehra Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Fatima Zehra ne ye Ehsaan kiya
Hamko Tere Gham ke liye chun liya
Tere Azaadaar ko Rutba mila
Ban gaye Zehra ki Tamanna Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ham ko Rasheed Usne sahara diya
Jab bhi masa'eb ne paresha'n kiya
Ham ne tadapte huwe be saakhta
Tute huwe dil se pukara Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain