Kanz e Aza

Di Sada Zainab ne

A noha written by Rasheed Shaheedi. Lyrics in Roman Urdu.

di sada zainab ne amma ghar luta kar aayi hoon


kya sunaao aap ko amma mai rudaade safar

saamne mere luta ek dopahar mein saara ghar

apne aankhon mein lahoo ke saare manzar laayi hoon

di sada zainab ne...


nargha e aada mein amma mera bhai ghir gaya

chod do bhai ko mere baaraha maine kaha

mai mohamed ki nawasi fatema ki jaayi hoon

di sada zainab ne...


mai tadapti hi rahi roti rahi sar peet kar

hogaya tan se juda amma mere bhai ka sar

karbala mein apne maajaye ko khokar aayi hoon

di sada zainab ne...


taziyane aur tamache shumr ki khaati rahi

phir andhere qaid khane mein sakina mar gayi

shaam ke zindan mein amma usko khokar aayi hoon

di sada zainab ne...


zulm aise thay sakina ho chuki thi muzmahil

kya kahun amma mai tum se jaanta hai mera dil

kaise us bacchi ki gardan se rasan khulwayi hoon

di sada zainab ne...


kaapti thi bain sun kar turbate zehra rasheed

keh rahi thi ro ke zainab hogaye bhai shaheed

saath apne khoon bhara bhai ka kurta laayi hoon

di sada zainab ne...