dil bande janabe zahra is desh mein gar aa jaata
ghar ghar mein amaan mil jaati har dil mein jagah paa jaata
bazaron mein yun zaninab ko sar nange na laaya jaata
mehmil mein bithaya jaata parde mein utara jaata
dil bande janabe...
armaan dil-e-laila ke yun khaak mein kyun mil jaate
athara baras wale ko parvan chadaya jaata
dil bande janabe...
shabbir agar asghar ko is nagri mein laaye hote
quran ki lori dekar jhoole mein sulaaya jaata
dil bande janabe...
is pyase hi shesh maahe ko hum teer na lagne dete
seene se lagaye rakhte har tarha bachaya jaata
dil bande janabe...
pani bhi faraham hota aur doodh bhi haazir karte
begaane sitam se asghar yun pyasa na mara jata
dil bande janabe...
dulha jo banaya jaata is gaon mein apna qasim
kubra ke liye ek hujra phoolon se sajaya jaata
dil bande janabe...
kuch aur hi aalam hota abbas yahan gar hotay
darya pe na toka jaata pani se na roka jaata
dil bande janabe...
mirza yehi dil mein apne reh reh ke khayal aata hai
is mulk mein tum par maula yun zulm na toda jaata
dil bande janabe...