Dil hai bechain shahe huda ka
Ho Raha hai Safar karbala ka
Maqsad hai wa'n se mulke baqaa ka
Ho Raha hai Safar karbala ka
Bhai Abbas ye mashko Wale ,ao Pani tumhare hawale
Sath masoom bachcho ka hoga
Ho Raha hai Safar karbala ka
Kahiyo beti tujhe kya khabar hai, raasta har qadam pur Qatar hai
Saamna ab hai dashte bala ka
Ho Raha hai Safar karbala ka
Aaj hai bibiyo ko amaari , shaan se ja Rahi hai sawaari
Kal Kaha'n hoga Inka ye parda
Ho Raha hai Safar karbala ka
Sab se ro roke kehte hai hazrat,ab yehi hai khuda ki masheehat
Mujhse chhut'ta hai Nana ka roza
Ho Raha hai Safar karbala ka
Sath hai Bhai shabbar ka jaani , ek yehi hai Hassan ki nashaani
Zindagi me ye pamaal hoga
Ho Raha hai Safar karbala ka
Sath tere Mera meh laqa hai, hum shabeehe rasoole khuda hai
Suwe maqtal chala hai ye fidya
Ho Raha hai Safar karbala ka