dil ki nazrou'n ne sada gham ke andhere dekhe
baade akber na kabhi maa ne ujaale dekhe
ya ali kehke nikali jo sina'n seene se
sheh ki nazrou'n ne rawaa'n khoon ke dhaare dekhe
umme laila ho ke sarwar ho gham e akber me
dard ke arsh pe zakhmou'n ke sitare dekhe
dekh sakte na the jis aankh me aansu wohi aaj
bas khuda jaane sina seene me kaise dekhe
jab chale laash e jawa'n leke hussain ibne ali
apne armaan ke har ghaam pa laashe dekhe
ran me shabbir ye kehte the tadap kar mere laal
koi hum dum nahi jo zakhm hamaare dekhe
laash akber ki utha kar badi hasrat se fida
soo-e-dariya shahe mazloom tadapke dekhe