Kanz e Aza

Dil ki Zeenat

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Aale Raza. Lyrics in Roman Urdu.

dil ki zeenat dard e hussaini

sar ki zeenat paaye hussain

aankh ki zeenat khaalis aansu

lab ki zeenat haye hussain


dars e hussaini allah allah

yun na samajh mein aa jaye

apne khuda ki jis azamat ko

sar de ke samjhaye hussain

dil ki zeenat...


apne apne sinf o sin ke

kaise numainde nikle

karbobala ke tapte ban mein

chaant ke jinko laaye hussain

dil ki zeenat...


shaam o kufa manzil manzil

sar tha naize par hamraah

zainab ka kya saath diya tha

zainab ke majaye hussain

dil ki zeenat...


dil ke azadaron se poocho

gham ki lazzat gham par naaz

sab ko daawat har dam charcha

ghar mein hamare aaye hussain

dil ki zeenat...


jitna kehna chaaha kehle

keh paate to kya hota

zehne aalam mein na sameina

jitna kehne paaye hussain

dil ki zeenat...


mazhab o millat ke jhagde kya

markaz e haq to ek raha

jaise har insan ke dil mein

qadre shahadat jaye hussain

dil ki zeenat...