dooba hua hussain ka laasha lahoo may hai
ya mustafa ke qalb ka tukda lahoo may hai
kyun be-khata pe zulm kiya tu ne hurmula
nanha sa chand bano ka dooba lahoo may hai
dooba hua hussain ka…
abbas e naamdaar ke baazu qalam huwe
pani may khoon hai mashk e sakina lahoo may hai
dooba hua hussain ka…
fawarra khoon ka jaari hai akbar ke seene se
is waqt mustafa ka sarapa lahoo may hai
dooba hua hussain ka…
farwa ye boli dekh ke qasim ki laash ko
hai chand sa ye dulha nahaya lahoo may hai
dooba hua hussain ka…
aale nabi ke khoon se nahaya hai is tarha
har aslaha layeeno ka dooba lahoo may hai
dooba hua hussain ka…