Kanz e Aza

Dua Deti Hai Zehra

A noha written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

hum farsh bichate hai dua deti hai zehra

shabbir pe rone ka sila deti hai zehra


har saal tabarruk mein kami yun nahi hoti

majlis mein mera haath bataa deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


mai roshni karta hoo azakhano mein jaa kar

turbat pe diya maa ki jala deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


phailaate hai jo haath tabarruk ki safon mein

un logon ko hissay mein ana deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


ashoor ko jab tak na uthe taaziya sheh ka

maayein kahan bachon ko ghiza deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


kuch hota nahi is liye zanjeer zano ko

sajjad ke sadqe mein shifa deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


rumaal jo tar hota hai ashkon se hamare

wo shaah ke zakhmo pe laga deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


sheh bolay bahattar ke janazon pe ye ro kar

jeet raho tum sab ko dua deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


padti hai nazar zakhmon pe jab binte ali ke

shabbir ke zakhmon ko bhula deti hai zehra

hum farsh bichate hai...


sajjad ye gham aise kahan milta hai sab ko

khush ho to gham e shaah dila deti hai zehra

hum farsh bichate hai...