ya rab hamein bhi ziarate e karbobala naseeb ho
shaahe zaman ke rauze pe hamein haazri naseeb ho
kab tak deewana sheh ka kare intezar maula
ziarat ki aarzoo mein hai dil beqarar maula
rauze ko choomne ki sa'adat hamein naseeb ho
ya rab hamein bhi...
kya maula aqeedat kami reh gayi hamari
ya phir ghareeb hona yehi hai khata hamari
karta hoo ab dua ye bulawa tera naseeb ho
ya rab hamein bhi...
hum jaise aasiyon tera dar hai ek sahara
wa basta aap se hai ye umeed ab hamara
karbal mein jaa ke karloo gunah maaf ye naseeb ho
ya rab hamein bhi...
muddat se aarzu hai hai dil beqarar maula
rauze ki jaal thaam ke nauha padhoo mai maula
in aansuon ka taufa karoo pesh ye naseeb ho
ya rab hamein bhi...
jis sar zameen pe madfan jigar bande fatema hai
shabbir ke lahoo se jo khaake shifa bana hai
hum bhi karenge sajda khudaya wo din naseeb ho
ya rab hamein bhi...
karbobala ka manzar kitna haseen hoga
hum sab ki tasavvur mein rehta hai sheh ka rauza
marne se pehle dekhoo wo manzar jina naseeb ho
ya rab hamein bhi...
ahsan ye dil mein hasrat liye jee raha hai aazam
karbobal mein ek din karunga zaroor matam
ek pal na thamne paaye wahan askh e gham naseeb ho
ya rab hamein bhi...