dua karo mera noore nazar palat aaye
mera pisar mera laqte jigar palat aaye
kaha hussain ne laila se roko akbar ko
karu mai pyaar mai lipatkar kaho palat aaye
shabi hai nana ki akbar kahi'n nazar na lage
utaaru sadqa mai uspar kaho palat aaye
tumhi sada do use ya kaho ye zainab se
bulaalo waasta dekar kaho palat aaye
hai dhoop itni ke shole ugal rahi hai zamee'n
badhegi pyaas ki shiddat kaho palat aaye
hai intezaar me soughra teri madine me
lagaae aas wo qaahar kaho palat aaye
mai dulha usko banaau tamanna hai ye meri
pinhaau sehra sajaakar kaho palat aaye
jawaan beta hai mera hai mannato waala
koi to rok lo badhkar kaho palat aaye
use kaho ke akela na chord jaao hame
sahaara do hame aakar kaho palat aaye
sakina kehti hai baba bulaalo bhayya ko
chacha bhi aaye na jaakar kaho palat aaye
ab iske seene me barchi ka phal jo tootega
mai kaise dekhu ye manzar kaho palat aaye
mai kaise laash pa jaau kamar bhi tooti hai
qadam qadam pa hai thokar kaho palat aaye
zara si taab nahi hai mai thak gaya hu bohot
subha se laashe uthaakar kaho palat aaye
hamaara laadla laila chala hai marne ko
ham usko dekh le jee bhar kaho palat aaye